-->

SEO Se Blog Post Ko Search Engine Ke Top Par Kaise Laye

Yadi aap ek blogger hai to aap ye jarur sochte honge ki aap jo blog post likhe hai woh google ke top rank par Aaye. Lekin aapko ek baat yaha par jan lena cahiye ki apne blog post ko google ke top rank par lane ke liye koi shortcut tarika nahi hai.

Yadi aap Blackhate seo ki madad se apne blog post ko google ke top par rank karane ki kosish karte hai to blackhate seo se aapke blog ko bahut nuksaan ho sakta hai. Aane wale time me hum blackhate seo kya hota hai uske bare me ek details post me janege.

Sabhi Professional blogger ek strategy bana kar apne post ko google ke top par rank krate jiske bare me woh aapne reader ko nahi batate hai. Aaj ke post mai aapko un sabhi secrets ke bare me batane ki kosish karuga jinka upyog karke professional blogger apne blog post ko google ke top rank par late hai. Mai ummed karta hu ki aapko iss post se jarur kuch uniqe chiz sikhne ko milega.


SEO Ki Madad Se Post Ko Top Par Lane ke Tips


Tip no. 1: Apne liye Naa Likh kar Logo ke Liye Useful Uniqe Content Likhe


“Content” ek aisa powerfull tarika hai jo logo ko aapke upar khichkar lata hai? Yadi aap apne audience ke liye Useful content likhte hai to aapke content ko Apki audience pasand karege.

yadi aap search engine ke liye content likhte hai to aapke iss baat ka bhi dhyaan dena cahiye ki aapka content search engine optimization ke sath sath logo ke liye bhi helpful ho. Search engine hmesa organic content ko bahut pasand karta hai. Isliye apne content ko bina kisi copywrite ke 100% Original rakjhe. or Detail me jaanne ke liye ye bhi jarur pade Badiya Blog Content Kaise Likhe Google or Visitor dono ke liye.

Tip no. 2: Hard Work Naa Karke Smart Work Kare


Iska Sidha saa mtlab hai ki kaam ke sath sath dimak ka bhi prayog kare. Maine dekha hai ki bahut se bloggers Apne content ko google ke top rank ke liye sabhi chize sahi tarike se karte hai Lekin galti woh ye karte hai ki woh apne content ko bina keyword research kiye hue publish kar dete hai Jiski Wajah se woh post search engine se jada traffic nahi paa pate hai, q ki us keyword ki jada search hi nahi hai.


Jo log Aisa karte hai Unko mai yahi kahna cahuga ki bina keyword research kiye hue aap search engine se achi traffic nahi paa sakte hai. Google Keyword Planner ek aisa free tool hai jiski madad se hum apne content ke liye faidemand keyword find kar sakte hai.

Tip no. 3: Keyword Decoration Ka Upyog Kare


Sabse pahle aapko ye samjhna hoga ki ye Keyword Decoration hota kya hai. Jab hum kisi keyword ke weigh, Size, Color Etc chizo ko change karte hai Usko hum Keyword Decoration kahte hai.

Apne content ko google par rank pane ke liye aapko apne content me Keyword Decoration karna hoga. Content me Keyword Decoration karne ka mtlab aapko apne main keyword jisko aapne target kiya hai usko bold yaa italic karna hoga.

Aisa Karne se jab google ka bot aapke content ko read karega to usko aasani se pata chal jayega ki aapne kiss keyword ko target kiya hai. Content me Keyword Decoration karna ek advance tarika hai aur ye bahut madad karta hai aapke content ko google me rank dilane ke liye.

Tip no. 4: Content-Length


Google Hmesa Long in Depth, problem-solving aur keyword rich content ko pasand karta hai.

Jiss tarah se Google par rank pane ke liye quality content ki jarurt padhti hai ussi parkar jab tak aapka content long nahi hoga tab tak aapka content google par achi rank nhi karega. Isliye apne content jitna ho sake utna long rakhe.

Content ko long rakhne ka ye mtlab nahi hai ki aap usme kuch bhi likh de. Jab tak aapka pura content aapke title se related nahi rahega tab usse aapko fayada nahi mlega. Aapka har ek content kam se kam 800++ word kaa hona cahiye.

Kitna Lambha Article kihna chaiye uski detail me jankari

Tip no. 5: Content Vs Sidebar


Blog ka Sidebar search engine optimization me ek bahut hi impotent role play karta hai. jab tak aapke blog ka sidebar search engine ke liye optimize nahi hoga tab tak aapke content ko rank milne me muskil hogi. Apne blog ke sidebar ko optimize karne ke liye in chizo ka upyog kare.

Jitna ho sake sidebar ko chota rakhe
Aapne Blog ke har ek image ko SEO friendly banaye aur uske liye har image me ALT tags ka upyog kare.
Yadi aap apne sidebar me categories/labels wedget ka upyog karte hai to kabhi bhi categories/labels me keyword ka upyog naa kare
Sidebar ke Faltu ke wedget/plugin ko turant remove kar de
Sidebar ko hmesa clean aur fresh rakhe
Sidebar me kam se kam image aur wedget ka upyog kare

Tip no. 6: Off Page SEO me Backlinks par focus kare


Off Page SEO ki suruwat backlink se hoti hai aur khatam bhi backlink se hoti hai. High-Quality backlinks aapke blog content ko rank karane me bahut jyada importent hota hai.

# High-Quality backlinks Ka Kya Mtlab Hota hai



High-Quality backlinks ka mtlab ye hota hai ki aapke blog ki link aisi website se hui ho jisko domain authority , page rank, jaisi chize bahut high ho. Jiski domain authority , page rank high hota hai usko “High authority blog/website kaha jata hai aur agar aise blog se aapko backlink milta hai to usko High-Quality backlinks kaha jayega.

0 Response to "SEO Se Blog Post Ko Search Engine Ke Top Par Kaise Laye"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel