-->

Paytm Forgot Password | Paytm Password Reset/Change Number

PayTM Password Reset kaise kare or PayTM Password Reset Number konsa hai jispar Call karke Paytm Password change karte hai uski jankari aapko iss post me milne wali hai.

Mene apni Pichli Post me PayTM se CashBack kamane ke ware me bataya tha.. to kuch logo ko paytm Login nahi kar pa rahe the.. q ki wo Paytm ka Password bhul gaye.. or unko samaj nahi aa raha tha ki kaise PayTM Password Change kaise kare.. to chaliye jante hai.

paytm password reset

PayTM Password Reset/Change kaise kare

PayTM ka password agar bhul jaye, to jesa or sites me hota hai ki forgot password ki button par click karke password change karne ki link aa jati hai, wesa isme nahi hota..


Paytm password reset link pane ke liye hame paytm password reset number par call karna padta hai, jiske baad hamare pass SMS or Email par Password Reset link aata hai, jspar click karke Password change karte hai.

Paytm Password Galat bataye to kya kare ?

paytm password forgot marlab agar bhul gaye hai to Password kaise change kare wo janne ke liye aap niche di hui steps ko follow kare.

Sabse Phele PayTM App open kare login pe click karke

fir PayTM account me Login karna hai apne Number/Email or Password ko dal kar.. agar aapko yaad nahi hai to bhi koi baat nahi.

Agar Login karte time Error bataye, to Niche di hui PayTM forgot Password link par click kare.

Paytm Forgot Password
Forgot Password karne ke liye Trouble logging in? par click kare

Trouble Logging in? par jane ke baad Forgot your password? par click kare.

Paytm Password Reset Number

ab PayTM Password reset karne ke liye ek number aayega. uspar call karna hai.

PayTM Password Reset Number 0120-4888488 hai

all karne ke baad Password reset karne ke liye call par phele apni bhasa select kare uske Password reset link ke liye 1 dabaye.

Paytm Password Reset Link

jese hi call par reset password ki request karege.. Email or SMS par Paytm password reset link aa jayega.. jo 10 minutes tak hi valid rheta hai.Link par click karne ke baad, option aayege ki kya hamne password reset karne ki request ki hai.. or password forgot karna chate hai usko yes select kare.Ab PayTm Password change karne ke liye option aa jayege.

Paytm Password Example

PayTm Password aesa dalna hai, jisko koi aasani se pata naa kar paye.. aapko PayTM Password me Number(1234), Sabd (abcd) or Simbol (@#$~/) ka use karna hai..

Strong PayTM Password Example: QWe23@we*
Week PayTM Password Example: 13345678

to iss trha aap PayTM ka strong password daalkar Proceed button par click kare.. uske baad aapka PayTM Password change ho jayega.To Iss trha aap PayTM Password change kar sakte hai..

aap inn bato ka hamesa dhiyan rakhe:

PayTM se aaya OTP kabhi kisi ko naa bataye.. PayTM se call aaye jab bhi nahi.

Agar aapke pass Password Reset karne ke liye SMS aaye or aapne request naa kari ho to turant Password change kare.

Agar kisi or ke mobile ya computer me login karne ka moka pade to logout karna naa bhule.

Paytm One Time Password

PayTM account me agar aap kisi new phone ya computer me login karege, to bhale aapko password yaad hai, uske baad bhi security ke liye PayTM One Time Password (OTP) SMS par aata hai verify karne ke liye.. dhiyan rakhe wo pin bhi kabhi kisi ko naa bataye.

At Last: 

To ab aap jaan chuke hai paytm forgot password kaise karte hai or Kaise PayTM ko secure karte hai..

paytm password reset number to mene share kar hi diya hai, iske aalawa agar aapko koi pareshani aati hai to aap PayTM Customer Care Number par bhi call karke jankari le sakte hai jo 24*7 on rheta hai.

PayTM Customer Care Number: 011-3377-6677 <<click for Call

To abhi bhi agar aapko PayTM Password change karne me koi problem aa rahi hai to aap niche comment karke jarur bataye.. me aapki help karne ki puri kosis karuga.

0 Response to "Paytm Forgot Password | Paytm Password Reset/Change Number"

Post a Comment

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel